Saturday, 10 September 2011

Aao...


Mere mann mein kuch sawaal hain..
Jawaab dene ke liye aao...
Kuch baatein jo adhoori reh gayi hain..
Sun ne Sunaane ke liye aao...

Kuch zakhm jo tumne diye they..
Unpe malham lagaane ke liye aao..
Kuch kasme vaade jo tumne kiye they..
Hisaab chukaane ke liye aao..

chand lamhe apne keemti waqt se..
Mere saath bitaane ke liye aao..
Tum mujhe bhula nahi sakte aise..
Mujhe yeh sach bataane ke liye aao..

Kuch jazbaat jo tumhare dil mein hain..
Mujhse unhe kehne ke liye aao..
Kuch armaan jo dil mein dabe pade hain..
Unhe poora karne ke liye aao..

Aao.. ke ab jyaada waqt nahi hai mere paas..
Bikhare hue kuch sapne hain..Sulagti hui ek pyaas..
Aao.. ke kuch naghmein likhe hain maine..
Yaado ki dharohar ko sanjoya hai maine..

Aao, Waqt ka yakeen nahi hai mujhe,iski neeyat hai be-i'tibaar..
Kal kahi main na rahu aur tum mujhe dhoondhte firo sar-e-bazaar..

Sunday, 24 July 2011

Taareekh.. (meaning Date)



Kuch hi saal pehle jo raqeeb hua karte they..
Khuda se bhi jyaada kareeb hua karte they..
Dekhte hi dekhte vo haath ki adhoori lakeer ho gaye hain..
Taqkdeer hua karte they aaj ek bhooli taareekh ho gaye hain....

Jinhe milne ko hum khwaabo mein bhi tartiib kiya karte they..
Jinhe  dekh kadam khud-be-khud unhi ki jaanib utha karte they...
Dekhte hi dekhte vo kisi aur shehar ke raahgeer ho gaye hain...
Taqkdeer hua karte they aaj ek bhooli taareekh ho gaye hain....

Seher....


Aaj barso baad seher dekhi hai...
Tere rang mein rangi dopehr dekhi hai...

Ek vo bhi din tha aur ek aaj ka din hai...
Tujh tak le jaane wali har rehguzar dekhi hai...

Ek muddat se khul ke mile nahi humse hum...
Tujhse milne ki dil mein uthi lehar dekhi hai...

Ek afsaana kahein ya nazm kahein ise...
Yuun lagta hai ikk umr tere bagairr dekhi hai....

Aaj barso baad seher dekhi hai...
Tere rang mein rangi dopehr dekhi hai.....

humuss...


har shaks pareshaan sa maaloom hota hai, har shaks mein humuss hai..
humuss....  haan vahi to hai, andar bhi aur bahar bhi....

har dil ka ek kona  gayab sa lagta hai, har dil mein humuss hai.
humuss.... haan vahi to hai, andar bhi aur bahar bhi....

Har nazar mein dilbar ka chehra sa lagta hai, har nazar mein humuss hai...
humuss..  haan vahi to hai, andar bhi aur bahar bhi....

Har rishta baarish sa maaloom hota hai, baarish aati to saundhi khushboo ke saath hai...
laut jaaye to badle mein tamaam umr ke liye humuss de jaati hai...
humuss...  haan vahi to hai, andar bhi aur bahar bhi....